Showing posts with label hindi. Show all posts
Showing posts with label hindi. Show all posts

Saturday, 6 September 2008

haqeeqat

Zindagi ki haqeeqat mein khoye the
Aaj zingadi ki haqeeqat mein zindagi se mile
Yeh zalim duniya hi sahi
Iss duniya mein pyar to hai
Sapne tute bhi sahi
Khwab to haqeeqat hi hai

Thursday, 31 July 2008

zara

Ayy haal e dil yun daastan na sunna
Ayy dhaadkan yun mujhda na beetha
Humme kal tak ki mahulat de de
Yun logon ki nazron ka nishana na bana

Herr lamhon ka hisab chukayenge
Herr khwahish pe jaan nisarenge
bhatak ne ka ilzam ser pe
manzil ka pata bhi na mila

kitabon ke panno mein mera naam na likh
ayy zalim yun bejaan si uljhan mein na fasa
dil pe dastak de, phir chahe dil hi tute to kya

yun takalluff se tabasum khili hai
yun hasraton se chain o khuma hai
chahat ke galiyon mein bhatke huye raste
kissi ashique ko meri kahani na bata

Sunday, 1 June 2008

bas yunhi

Meri zindagi tujhe mein apni kasam deti hun
Bas herr mod pe yun jeene ki aarzo na jagah
Herr tamanna ke bikherne pe
Thoda sa tu hi to marta hai

filhaal

Filhaal,
Mazi se mausiki hai,
Per kal ke pal mein
mohabbat ki khushboo si hai
Baharon se huyi guftgu
to sunne mein aaya -
Aaj gul ko fiza ki zustaju si hai
Kyon ke fiza ko aaj tera intezaar hai.
Wafa-bewafa ke jugalbandi ne
paigam yeh seecha hai,
ke tu nahi
to na wafa, na bewafa, ka alam hai,
Bas, tu aa jaye,
to teri hukumat pe wafa hogi
aur phir bewafa bhi dur kahan hai