Thursday, 31 July 2008

zara

Ayy haal e dil yun daastan na sunna
Ayy dhaadkan yun mujhda na beetha
Humme kal tak ki mahulat de de
Yun logon ki nazron ka nishana na bana

Herr lamhon ka hisab chukayenge
Herr khwahish pe jaan nisarenge
bhatak ne ka ilzam ser pe
manzil ka pata bhi na mila

kitabon ke panno mein mera naam na likh
ayy zalim yun bejaan si uljhan mein na fasa
dil pe dastak de, phir chahe dil hi tute to kya

yun takalluff se tabasum khili hai
yun hasraton se chain o khuma hai
chahat ke galiyon mein bhatke huye raste
kissi ashique ko meri kahani na bata

No comments:

Post a Comment